Wednesday, January 1, 2014

December khaas hai Jaana!!

saray he maheenon main
boht mumtaaz hai Jaana...
December khaas hai Jaana!!

Boht rangeen se subhain,
madhoshi se bhari shaamein..
unhi shaamon main,
tery aa janay ki aas hai Jaana..
December khaas hai Jaana!!

Dopehrain khoi khoi see,
wo raatein soyi soyi se,
kbhi chanda, kbhi tara,
kbhi aakaash hai Jaana..
December khaas hai Jaana!!

Shokh o shang hawaon ka,
wo madham se sadaaon ka,
wo hidat se dharakty,
2 diloon ka saaz hai Jaana..
December khaas hai Jaana!!

Kaye guzray hawalon ka,
kuch nut khat sawalon ka,
naye din ki sada,
naye milan ka aghaaz hai Jaana..
December khaas hai Jaana!!

~ MSM ~

2 comments: